Upkaar ntse book
Dear students,
Swagat hai aapka
kya aap abhi 10 th class mai hai ?
Kya aap bhi chahte hai ki har mahine aapko scholarship mile?
Or is mahgi school ki fees se chhutkara mile.inhi sare sawalo ke jabav dene ke liye lekar aaya hu aaj ka ye blog.
Dosto aap sab ne ntse national talent search examination ke baare mai to suna hi hoga ye exam 10th class mai pd rhe students ke lie hota hai ye exam rastriye star ki chhatravritti yojna hai jo ki two stages mai hota hai .ise qualify karne wale students ko 500 rupees per month ki scholarship pradaan ki jati hai.
Dosto baat karte hai exam ki is exam mai two stages hoti hai 1st rajya stariye 2nd rastriye plus kendra sasit pradesh ke students ki sammilit pareekchha aayojit ki jati hai .dosto first stage mai jo exam hota hai uske two parts hote hai
MET (mansik yogyata jaanch)
Or SET (jisme samajik vigyan,ganit,or vigyan ) ke prasn poochhe jate hai.
First stage qualify karne pr second stage ka exam hota hai jisme all over india ke students participate karte hai . Second stage likhit pareeksha hoti hai isme met or set dono hi exam hote hai. Second stage ko qualify karne ke baad interview hota hai tatpashchat final selection .
Dosto ntse exam qualify karna aasan nhi hai or namumkin jaisi koi cheej nhi hoti kathin parishram or lagan se koi bhi exam qualify kia ja sakta hai bs sart ye hai ki aap ne apne lakshya ki prapti hetu kitni mehnat ki hai.
Dosto baat karte hai exam ki prepration kaise ki jae konsi books best hai or kitna time dia jae is exam ki tyari mai .
Sabse pahle to dosto hame hamara academic strong kr ke chalna chahiye kyoki part b mai academic hi aata hai .rahi baat met ki tyari ki uske liye aap market se koi bhi book le sakte hai jaise
Upkar ,arihant or bhi kai publications ki book market mai available hai.
Is blog mai me aapko upkaar publication ki book ke bare mai bataunga ki ye book aapke lie best kyo hai kis tarah ke isme questions hai aadi.
Dosto book ke writers hai mb laal or tk jain or publish kia hai upkaar publication ne ,book mai pichle years ke papers bhi die hue hai sath hi saral language ka upyog kr solutions ko samjhaya gya hai.
Dosto book jyada mehgi bhi nhi hai 250 ke something ye aapko market mai mil jayegi to der na kare. book ko khareede or padai kre.

टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें