Bharat ka bhoogol ncert sar by Mahesh kumar barnwal

Dear friends,
Mai Shekhar har roj ki tarah aaj bhi   aap sabhi ke lie lekar aaya hu ek new book ka review jo ki upsc ,state pcs exams ke lie kafi upyogi sabit hogi va rahi hai, jiska name h bharat ka bhoogol ncert sar jise likha h shree MAHESH KUMAR BARNWAL JI jo ki puducheri polis seva m ssp hai. tatha book ko publish kia gya h COSMOS PUBLICATION dwara.


Friends abhi tk is book ki 2 series publish ki ja chuki h ye 3rd series h jo ki 2018 m publish ho chuki h . Friends har book ki tarah is book m bhi kuch new add karke publish kia gya h. dekhiye friends is name se do book aati hai ek jisme bharat or visva ka bhoogol dono sanyukt roop se likha rehta h , doosri jisme bharat ka bhoogol ki alag or viswa ke bhoogol ki alag book aati hai.

Is book mai bharat or viswa ka sanyukt roop se likhi book ki tulna mai adhik facts or gyan ka bhandaar hai . Is book mai har topic ko or adhik detail mai samjhaya gya h jisse exam mai aaye sare prasn hal kie ja sake or exam mai adhik se adhik ank prapt kie ja sake.

Friends ab hum book pr aate hai  sabhi books ki hi tarah is book mai bhi shuruaati pages mai anukramanika di gai h jisse students ko koi bhi topic khojne mai asuvidha na ho or vo apne manchahe topic pr aasani se pahuch sake.vaise to u hi koi bhi topic beech se hi utha kr padna bewkoofi hogi to mera suggestion yahi rahega ki jb bhi padai kare hr topic ko ek k baad ek krke pde kyonki har topic ki apne pichhle topic se link judi hui hoti hai.

Friends specially is book ki agar baat kare to mera suggestion yahi rahega  ki book to sari best hi hoti h bs depend krta h ki aap unko kitna gahan tareeke se adhyan kr rhe hai kyonki koi bhi book apne aap mai adhoori nhi hoti ,adhoore hote h unhe pdne wale jb mn kia koi bhi page khola or lg gae padne aisa krna mtlb  khud ka nuksaan krna.

Friends is book ke matter ki baat kare to sabhi topics ko bakhoobi prastut kia gya h suruaat hoti h BHARAT KI BHOUGOLIK STHITI se jiske antargat bharat ka samanya parichay, avisthity avam vistar , jaliye sima , padosi Desh aadi

2nd  topic aata hai BHARAT KA BHOO GARBHIK ITIHAAS  jisme bhoogarbhik sanrachna ,dakshin ka praydueepiye pathhar, parvat maala ,medan aadi

3rd topic ke antargat BHARAT KA BHOUTIK SWAROOP jisme himnad pathar ,poorvi ghat ,paschimi ghaat,darra ,uttar ka visal maidan ,marusthal, dweep samooh aadi

4th topic bharat ki jalavayu se sambandhit hai
5th topic mrada se sambandhit hai
6th topic prakratik vanaspati ke prakaar unke chetra unka vargikaran ,upyog aadi hai.

7th topic mai jaiv vividhta  ke prakar , red data book, jaivmandal , .
8th topic ke antargat apavah tantra hai jisme bharat ki nadiya ,unke pravah chetra, nadiyo ka mahatva .

9th topic ke antargat jal sansadhan ke strot , upyog ,mahatva ,prabandhan ,sangrahan aadi
10th topic ke antargat bahuuddesiye pariyojnaye

11 th topic me krishi se sambandhit sabhi tathya
12th topic mai bharat ke pasu sansadhan
13th topic mai khanij sansadhan
14th topic maiuurja sansadhan
15th topic maibhartiye parivahan avam sanchaar vyavastha

16th topic maivinirmaan udhyog
17th topic mai jansankhya
18th topic mai bharat mai nagarikaran
19th topic mai bharat ki janajatiyan
20th  topic mai prakratik aapda avam prabandhan

21st topic mai bharat ke rajya tatha kendra sasit pradesho ki jankaari di hui hai.
22nd and last topic mai multiple choice questions die hue hai

Is tarah se sari book ko kram baar vibhajit kia gya h taki students iska fayda utha sake or exam mai adhik se adhik score kr sake .
Over all mera suggestion yahi rahega ki is book ko jaror khareede or ek bar iska gehanta se  adhyan jaror kare
LIKE
SHARE
COMMENTS
SUBSCRIBE


टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Mp gk book madhya pradesh granth akadmi

Lucents gk objective book