Three bare acts
Dear friends,
Aaj m is blog ke madhyam se mukesh maheshwari ji ki book three acts ka review doonga.
Is lekh mai m aapko btaunga ki yah book kis tareeke se likhi gai h or is book m other books ki apeksha kya khoobi h,
Sabse pehle m aapko bta doon ki ye book kyo khareede or yah book doosri books ki tulna m better kyo h,
Dosto is book m bare acts ki book ki tulna m kafi saral bhasa m acts ko samjhane ki kosis ki gai h, sath hi flow charts ke madhyam se acts ki dharaon ko samjhane ki kosis ki h.
1- shedule caste & shedule tribe prevention of atrocity act 1989 se sambandhit sare facts ko bahut hi sundar tariikese rakha gya h,isme sansodhan adhiniyam2015 ko bhi add kr ke likha gya h,or acts ko flow charts ke madhyam se bahut hi saral sabdo me btane ki har sambhav kosis ki gai h.
Is book m saral aasan bhasa ka hi prayog nhi hua balki sunder flow charts ka upyog bhi bakhoobi roop sekia gya h.
1989 wale act ko sc st ke virudh ho rhe atyacharo ko rokne ke liye laya gya,is act m atyacharo ke nivaran ke lie vises nyalaya ka prabandh bhi kia gya h, sath hi peedit vyaktiyon ko rahat dene ke liye unke punarvas ki bhi vyavastha ki gai h.
Ye act 1989 mai aaya jise rastrapati ji dwara swikrati 11 sep. 1989 ko di gai or ise 30 jan. 1990 ko lagu kia gya.
Is act me total 5 adhyayon m kull 23 dharaye hai.
Adhyay 1 mai kull 2 dharaye h jisme is act ka vistar chetra tatha lagu krne ki date di h or paribhasaon ka ullekh kia gya h.
Adhyay 2 mai sc st ke sadasyon ko prtadit karne unke khilaf jhootha kes lagane pr dand ka ullekh milta hai.
Adhyay 3 mai sc st ke sadasya ko kisi jagah se nishkasit krne pr dand ka ullekh h,
Adhyay 4 mai vises nyayalayon ka ullekh milta h.
Or aakhiri adhyay 5 mai samoohik jurmana ,tatha sasan ke kartavyo ka ullekh milta h.
To is tarah se is act ko bahut hi aasan bhasa m samjhaya gya h.
Ab hum baat karte h 1955 ka civil adhikaar sarakchhan adhiniyam ki.
Is adhiniyam ko poorv m asprishyata apraadh adhiniyam ke naam se jana jata tha 19 nov. 1976 se iska naam civil adhikar sanrakchhan adhiniyam kr dia gya.
8 may 1855 ki ise rastrapati mahodya ke dwara anumati de di gai or 1 jun 1955 se ise lagu kr dia gya.
Is adhiniyam m kull 17 dharayen h.to dosto is tarah se is adhiniyam ko exam ke liye better tareeke se prastut kia gya h.
Ab baat karte h manvadhikar sanrakchhan adhiniyam 1993 ki. yah adhiniyam rastriya manavadhikar aayog or rajya manvadhikar aayog se sambandhit visayon ke lye laya gya
Is adhiniyam me kull 8 adhyay or 43 dharaye h.
To friends ummid karta hu ki aapko ye blog pasand aaya hoga please comment kre like kare share kre .
Thanks
https://www.facebook.com/groups/mppsc007/permalink/2305295776401092/?app=fbl

टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें